Yaqeen
Yaqeen
(By Sameer Tariq)
Agar mujhko iss ka yaqeen ho, ae dost
Kay mujhse juda ho kay bhi tu jee jayega
Ye teri num aankhen,sada keliye khushk ho jayeingi
Ya tere lub pe wo haseen tabassum,phir laut aayega
Aur tere rukh pe ye bikhray say baal
Mere baad maathay pe pareshan na hongay
Teri koi shub,siskiyon mein na dhalegi
Teri koi subah,palkon mein na chubhay gi
Agar mujhko iss ka yaqeen ho,ae sanam
Kay phir teri ungliyaan mere chehray ko na dhoondein gi
Aur tera wajood kabhi mere lams ko na tarsay ga
Na kabhi tu udaas hoga,na kabhi tanhaee ka shikaar
aur mera khayal tujhay bhoolay say bhi na aayega
saath gungunaye chund adhooray naghmay
tu tanhaee mein chupkay say na dohraye ga
wo lamhe jub hanstay hanstay palken bheeg gayeen theen
tera dil un lamhon ko akelay mein na bulaye ga
Agar mujhko iss ka yaqeen ho,ae yaar
Kay mere baad teri hayat ka ye gulsitan
Phir kabhi khizaan kay khauf say zard na hoga
Tera har ek ?kal?tere guzray pal say haseen hoga
Aur wo roz-o-shub,jo hum nay saath bitaye
Tu kisi darawnay khwab ki manind bhula dega
To teri qasam mere dost,mere sanam,mere yaar
Main aaj tere jahan say yun gum ho jaaoon
Jaisay jalti zameen se chamkta saraab gum hota hai
Umeed ki pyaas liye?wajood ki aas liye?..
Agar mujhko iss ka yaqeen ho?..Agar??????.

Comments on this journal
Agar mujhko iss ka yaqeen ho,aey meray sanam
Main ea dharkan kia zindagi teray naam kar doon