Woh
Ussay apnay firda ki fiqar thee, woh jo mera waqif-e-haal tha
Woh jo us ki suhb-e-arooj thee, woh mera waqat-e-zawal tha
Meri baat kaysay woh manta, mera dard kaysay woh janata
Woh tu khud fina k safar pay tha, ussay rokna bhe mohal tha
Kahan jaoo gay mujhay chore ker, may yeah pooch pooch ker thak gaya
Woh jawab mujhay na day saka, woh tu khud sarapa sawal tha
Woh jo pass uskay aa gaya, wohi khusboon may naha gaya
Aysee us ki haybat-e-hussan thee, aysa uss ka rang o jamal tha
Woh milla tu sadiyoon baad bhe meray lab pay koyee gilla na tha
Ussay meri chup nay rulla diya, jissay guftago may kamal tha
Meray say gallay lag ker woh ro diya, mujhay itna Fakhri woh keh saka
Jissay samjhta tha may zindagi woh tu mehaz mera weham o khayal tha

Comments on this journal
Horizon this is one of my all time fav ghazals. the fourth and second last sheer are my all time favs!