why rush?
This is one of favorites from Munir Niazi. At times we say why rush. But this poem tells you the other side of the story. Which side would you rather take???
Hamesha deir kar deta hooN mein har kaam karnay mein
Zaroori baat kehni ho koyee waDa nibhana ho
Usay awaaz deni ho usay waapas bulana ho
Hamesha deir kar deta hooN mein
Madad karni ho us kee, yaar ki dharas bandhana ho
Bohat dereena rastoN par kisee say milnay jana ho
Hamesha deir kar deta hooN mein
Badaltay mausamoN ki sair mein dil ko lagana ho
Kisi ko yaad rakhna ho kisi ko bhool jana ho
Hamesha deir kar deta hooN mein
Kisi ko maut say pehlay kisi gham say bachana ho
Haqeeqat aur thi kuch us ko ja kay ye batana ho

Comments on this journal