DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Vo baarish, do boond paani aur ek aag ka dariya


Haseen lamhon ka soonapan,
Uljha uljha sa ye man
Kabhi bhool nahin paoonga main
Vo baarish, do boond paani aur ek aag ka dariya

Paani ka vo mujh tak aana
Har saans ko gila kar jaana
Kahin pe chhod aya hoon main
Vo baarish, do boond paani aur ek aag ka dariya

Yaadon ka safar peeche reh gaya
Aur rasta kaano mein sher keh gaya
Kal saath le aya hoon main
Vo baarish, do boond paani aur ek aag ka dariya

Arz karoon main kaun sa khayal
Bheege dil se kiya sawaal
Filter coffee aur bus main hi main
Vo baarish, do boond paani aur ek aag ka dariya

Ghalib, Meer, mehfil aur jaam
Hanste gaate chehre tamaam
Ek pal mein jee aaya hoon main
Vo baarish, do boond paani aur ek aag ka dariya

Tezaab ki boondein baarish mein kal
Jalaye aankhon mein vo haseen pal
Rok nahi paya kal main
Vo baarish, do boond paani aur ek aag ka dariya

Raat bhar sulagta raha, ae dost
Jane phir kab aisi barsaat ho, ae dost
Yaad rakhoonga barson tak main
Vo baarish, do boond paani aur ek aag ka dariya
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (December 13, 2006 at 6:46pm)
good one ! who wrote this ?