Urdu DIgests
Asalamualikum,
Kia aap log urdu digests parhtay hain? Aur agar parhtay hain tu aap ka pasandeeda digest konsa hai? KHawateen, Pakeeza, Anchal, etc etc. etc.
Main ne kafi zyada digests parhay hain, aur sab main zyada mujhay Khawateen aur Shua'a acha laga hai. Unki kahaniyaan kabhi kabhi bohut bore kar deti hai, par unkay kuch writers MashaAllah bohut acha likhti hain, aur jab bhi sarwaraq pe unka naam dekhti hoon tu foran khareed ke le ati hoon.
Lekan main ne dekha hai ke aksar log digests parhnay walo'n ka mazaq uratay hain, kabhi kabhar tu inki kahaniyan wahi saas bahoo, aur shadi tak hi hoti hai, lekan aksar achay topics pe bhi likha jata hai.
khair aap batain apni experience with digests. :)

Comments on this journal
ma app sa agree karti hon, aj kal stories wohi purani hoti han lakin khawateen or roohani digests theek han.