tum itanaa jo muskuraa rahe ho
tum itanaa jo muskuraa rahe ho
kyaa Gam hai jis ko chhupaa rahe ho
aa.Nkho.n me.n namii ha.Nsii labo.n par
kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho
ban jaaye.nge zahar piite piite
ye ashk jo piite jaa rahe ho
jin zaKhmo.n ko vaqt bhar chalaa hai
tum kyo.n unhe.n chhe.De jaa rahe ho
rekhaao.n kaa khel hai muqaddar
rekhaao.n se maat khaa rahe ho
------- kaifi azmi--------
kyaa Gam hai jis ko chhupaa rahe ho
aa.Nkho.n me.n namii ha.Nsii labo.n par
kyaa haal hai kyaa dikhaa rahe ho
ban jaaye.nge zahar piite piite
ye ashk jo piite jaa rahe ho
jin zaKhmo.n ko vaqt bhar chalaa hai
tum kyo.n unhe.n chhe.De jaa rahe ho
rekhaao.n kaa khel hai muqaddar
rekhaao.n se maat khaa rahe ho
------- kaifi azmi--------



Comments on this journal
Chashm o lab o rukhsar ki taih meiN roohoN ke weerane haiN
Mera Majlasi tabassum mera tarjuman nahiN hai
Mustafa Zaidi
Hum Tumhain Jeet Ke Harey Hain, Tumhain Kya Malum
Ek Tum Ho Ke Samajhte Nahi Hum Ko Apna
Ek Hum Hain Ke Tumhare Hain, Tumhain Kya Maalum
There are more stanzas