Shikast
Apne seenay say lagaye huwi umeed ki laash
Muddaton zeest ko nashad kya hai mein nay
Tu nay to ek he sadmay se kya tha dochar
Dil ko har tarah say barbad kya hai mein nay
Jub bhi raaho mein nazar ayee hariri malboos
Sard aahon mein tujhay yaad kya hai mein nay
Aur ab jub keh meri rooh ki paihnayee mein
Ek sunsan see maghmum ghata chayee hai
Tu damaktay huway aariz ki shuwayain lay kar
Gul shuda shamain jalanay chali ayee hai?
Meri mehboob, yeh hangama-e-tajdeed-e-wafa
Meri afsurda jawani kay liye raas nahin
Mein nay jo phool chunay thai tere qadmon kay liye
Un ka dhundla sa tasawwur bhi meray paas nahin
Ek yakh basta udasi hai dil o jaan pay muheet
Ab meri rooh mein baqi hai nah umeed nah josh
Reh gaya dub kay giraan baar salaasil kay talay
Meri darmaanda jawani ki umangon ka kharosh
- Sahir Ludhianvi

Comments on this journal