Shehzadi (Urdu afsana)
LONG POST......IN URDU)
"Veedu" Sajawal mein rehta tha. Sajawal ek gaawo tha aur phir kai saalo kay baad woh dekhtay he dekhtay phailta chala gaya aur ab jab keh Veedu bada ho gaya tha, Sajawal ek chota sa sheher bun chuka tha.
Veedu ka baap sari zindagi mehnat karta aya tha. Woh gannay kay rus ka thaila lagata tha bazaar ki chowk par. Saalo saal say yeh he kaam kya tha uss nay. Veedu ko yaad hai keh har subah uss ka baap Veedu ko thailay ki sair par lay jata aur issi bahanay uss ko madarsay chodh aata.
Veedu ki maa ek nek aur saabir aurat thi jo ghar mein mohallay kay baccho ko Quran-e-Pak padhati thi aur sardiyo mein logo kay lihaf bunti thi. Iss tarah log bhi waqtan fawaqtan uss ki madad kar detay thai aur issi tarah zindagi chulti rahi.
Veedu ki ek badi behen thi jis ki shadi rishtaydaaro mein taih payee thi. Ladka Muzaffarabad mein wagon ka driver tha aur kuch he saal mein uss nay apni wagon khareed lee thi. Uss ki badi behen apnay ghar mein khush thi aur itni khush thi keh woh har Eid par bhi milnay nahin aati thi. Phir Muzaffarabad tha bhi bohot dur.
Veedu kay aa baa o ajdad nay ek toota phoota makan chodha tha jis kay do hissay thai. Ek hissay mein woh aur uss kay maa baap rehtay thai aur doosray hissay mein uss ki bewa phuppi aur uss ki phuppi zaad behen Paaro.
Veedu nay Millat High School say Matric kya tha. Woh sham ko akser apnay dosto kay sath chowk jata aur raat der tuk Khadim kay chotay say hotel kay bahar padi bench par gup shup marta rehta. Kabhi kabhar koi dost chaye bhi manga deta.
Phir kuch arsay kay baad, Veedu ko kaam mil gaya. Ussi chowk par ek chota sa bazar tha jehan ready made kapdo ki ek dukaan thi. Veedu wahan kaam par lag gaya. Gahak aatay aur gaahak jatay. Kuch waise he aur kuch khareedari karnay kay liye. Veedu ek acha salesman tha. Woh tarah tarha say gahako ko baawar karta. Yehan tuk keh jub kuch log shadi biyah ki khareedari kay liye aatay to Veedu baray shauq kay sath unhain saariyan dikhta aur yeh he nahin. Unhain apnay upar bandh bandh kar un ko saree kay pallu ki fall dikhata.
Sattar bhai jin ki yeh dukaan thi, Veedu kay kaam say khush thai aur har maheenay ki paanch tareekh ko uss ki tankhwah ada kar detay. Aur bhi kaam karwa letay thai Veedu say, jaise paan mangwa liya. Ghar sauda bhej diya uss kay hatho. Kabhi kachaihri ko koi kaam hota to apni motor cycle bhi day detay Veedu ko.
Veedu nay kisi tarah ek phateechad Vespa scooter khareed lee thi, jis par woh aur uss kay do dost akser sham kay baad, neher kay kinaray ki sair ko jaatay. Rastay say, Veedu, Kallu paan walay ki dukan say Wills ki 2 cigaratain khareedta. Phir woh ghanto neher kay kinaray tarah tarah ki baatain kya kartay.
Veedu kay dost uss ko internet ka batatay. Uss ko batatay kitna maza aata hai naye dost bananay mein aur woh bhi aise log jo issi duniya kay kisi aur konay mein rehtay ho. Amjad kehta keh ab to uss kay kai dost bun chukay hain aur jis mein bohot see ladkiyan bhi shamil hain. Fazal batata keh uss nay to ek ladki say baat bhi ki hai. Veedu ka bhi dil karta keh woh aisee duniya ki sair karay. Uss kay dil mein ek meethi see chubhan hoti. Uss nay sun rakha tha keh rishtay aasmaan par taih hotay hain. Uss ko yaqeen ho chala tha, ho nah ho, ek shehzadi uss ka intezaar kar rahi hai, issi duniya kay kisi hissay mein.
Chowk par ek internet cafe tha. Veedu wahan janay laga aur internet seekhta chala gaya. Amjad say "naseeb.com" ka patah chala aur phir kuch dosto ki madad say ek din, Veedu nay free membership lay li aur apni profile bhi bana daali. Uss kay liye uss nay "Foto House" say ek aala tasweer bhi khichayee. Tasweer mein ek 24 sala dubla patla ladka, apnay madfooq say cheray par hulki moonchay liye muskura raha tha. Saleti rung ki tight patloon, safed shirt aur uss par Fazal ki putli see tie. Dosto nay kaha keh bohot smart tasweer ayee hai. Veedu nay profile kuch aisee banayi thi.
LOCATION = Sajawal, Pakistan
AGE = 24 years old
EDUCATION = Matricalate
OCCUPATION = Shop keeper
LANGUAGES = Panjabi/Urdu/Englesh
FAVORITE MUSIC = Issakhailvee / Ibrar / Madaana
ABOUT = mE a sexy boy. veRy beaouty. High incom. Undirty haart. hA ve Big sakootar Vespa. I want see outside cuntry. Want make mairej with princeee (shaah zadee). u wait for I? than right please back. Also post passport for I to go.
*********************************** ***********
Veedu phir roz kaam kay baad internet cafe jaata. Woh tarah tarah kay logo ko dekhta. Un kay baray mein padhta. Kuch kuch samajh aata us ko. Woh "Styx" ko dekhta, kis qadar haseen photos hain, aur ek uss nay photo khichaya hai. Woh "Madferrit" ki cars ko dekhta, Mercs and BMWs. Phir uss ko apni Vespa aur bhi buri lagnay lagti. Woh "Suave" ki zehni satah tuk pohonch he nah paata. Woh samajhta keh "Minamlist" shayad Bon Jovi hai. Woh sochta yeh "Horizon" baba kya kar raha hai yahan? Woh dekhta keh log batain kiye jaa rahay hain aur uss say koi baat he nahin karta.
Kuch arsay kay baad usay aisa laga keh jaise woh kisi video game ki machine kay aagay baitha hai. Jaise woh Video game machine, ussay trailors dikha rahi hai. Jaise uss kay paas paise nahin, keh iss machine mein paise daal sakay aur controls apnay hath mein lay sakay. Usaay aisa laga jaise "joy stick" to hai lekin uss ko istemaal karnay ka samaan nahin hai uss kay paas.
Veedu nay baarha messages bhejay. Kuch JEs par comments bhi kiye apni tooti phooti English mein. Har taraf say ussay ya to ek qehqaha mila ya phir gaaliyan ya phir tanz bharay fiqray. Uss ki samajh mein nahi aata tha keh yeh kaise log hain keh itni saaf kahi dil say nikli baat bhi nahin samajhtay?
Ussay iss baat ka ehsas honay laga keh yeh sub log haeeqat mein nahin hain. Yeh sirf kirdar hain aur woh bhi computer kay apnay banaye huway. Jaise har honay wali cheez pre-programmed hai iss computer mein. Aur agar woh joy stick chala kar in kirdaaro say khel bhi lay to ek hud tuk bus. Yeh sub farzi hain, Veedu nay socha.
Uss sham woh neher kay kinaray akela baitha huwa tha. Woh apni zindagi ko internet kay logo say compare karnay laga. Haqeeat to yeh thi keh Veedu ek kirdar nahi balkeh chulti, phirti, saans leti, aur dil rakhnay wali shakhsiyat ka naam tha. Woh apnay baap kay baray mein sochnay laga. Apni maa kay baray mein, apni behen kay baray mein aur Paaro kay baray mein. Paaro kay sath akser raat ko daalaan mein woh batain kya karta tha. Dono sath mein jawan huway thai. Kuch arsay say Veedu nay mehsoos kya tha keh jub Paaro uss say baat karti hai to uss ki aankho mein ek chand sa chamaknay lagta hai. Veedu nay aaj say pehlay iss baat par kabhi ghaur nahi kya tha. Woh jab ghar laut-ta tha to Paaro uss ka intezaar kar rahi hoti thi par Veedu nay to kabhi uss ko ankh bhar kar bhi nahin dekha tha balkeh hukm he chalaya tha..."mera munh kya dekh rahi hai? ja juldi say khana lay kar aa".
Jub kabhi Veedu pareshan hota to Paaro ko fauran patah chul jata tha. Veedu lakh chupaye, par woh jaan leti thi. Aur haan, roz saweray uss ki scooter bhi to woh he saaf karti thi. Kitni dafa Paaro nay Veedu say dabay lafzo mein kaha tha keh ek sham mujh ko bhi apni scooter par bitha kar neher ki sair kara day, par Veedu nay hamesha ussay jhidak diya tha.
Lekin aaj, Paaro ka ek naya roop dekh raha tha Veedu. Ek haqeeqi roop. Internet kay logo say kahin juda. Ab andhera ho chuka tha. Veedu neher kay kinaray leta aasmaan ko dekh raha tha. Hazaro taaray jhil mila rahay thai aur phir Veedu nay dekha keh jaise har sitaray mein Paaro ka chehra muskura raha ho. Paaro ek "Shehzadi" lag rahi thi. Asli "Shehzadi".
Veedu utha aur ek nayee umang kay sath apni scooter par ghar rawana ho gaya. Ghar par koi maujood nahin tha. Barabar say patah chala keh din kay waqt, achanak Paaro ki tabeeat kharab ho gayee thi aur uss ko dispensary lay gaye thai. Veedu wahan pauncha to patah chala woh to 2 bajay ki baat thi aur Paaro ko haspatal bhej diya gaya tha kyunkeh uss ki halat naazuk thi.
Haspatal 20 meel kay faaslay par tha. Veedu apni scooter par sawar jaa raha tha aur tarah tarah kay khyal ussay sata rahay thai. Woh soch raha tha keh itnay saal say ussay Paaro ka asli roop kyun nahi dikha? Shayad iss liye keh Paaro to barabar mein thi lekin Veedu apni Shehzadi ko bohot door talash kar raha tha. Uss ko internet par padhi ek kahani yaad aa gayee...Kisi kay sath aisa he huwa tha aur jub woh shukhs aakhir mein uss ladki say maafi maangnay gaya to woh jaa chuki thi. Veedu kay dil mein ek ajeeb khauf aa gaya aur uss nay scooter ki raftar aur bhi tez kar di.
Haspatal mein jaa kar patah chala keh Paaro kis ward mein hai. Woh bhagta huwa wahan pauncha. Paaro kay ird gird pardah khicha huwa tha. Veedu ander gaya. Paaro ka chehra safed tha. Woh bistar par aankhain bund kiye madhosh leti thi. Hath mein drip lagi thi. Maathay par halka sa paseena tha. Ek lat baalo ki uss ki peshani par giri huwi thi. Phir woh neend mein kuch badbada nay lagi. Woh apni madham awaz mein Veedu ka naam lay rahi thi. Veedu nay Paaro ka hath halkay say thaama aur ek sargoshi kay andaaz mein kaha "Uth Paaro, mein tujhay lenay aaya hun. Neher ki sair kay liye"....Kuch he lamho kay baad..........Paaro nay dheeray say aankhain khol deen....Uss kay chehray par ek halki see muskurahat phail gayee. Woh waqai ek Shehzadi lag rahi thi.
Me~~~tariq~~~