Shaam ke baad
Aankh bun jati hai saawan ki ghaTa shaam ke baad
LauT jata hai agar koi kafa shaam ke baad
Woh jo Tal jati rahi sir se bala shaam ke baad
Koi tou tha jo deta tha dua shaam ke baad
AahaiN bharti hai shab e hijr yateemoN ki tarah
Sard ho jati hai har roz hawa shaam ke baad
Shaam tuk qaid raha karte haiN dil ke andar
Dard ho jaate haiN saare he riha shaam ke baad
Log thak haar ke so jaate haiN lekin jaanaN
Hum ne khush ho ke tera dard saha shaam ke baad
Shaam se pehle talak lakh sulaye rakhaiN
Jaag uThti hai mohabbat ki anaa sham ke baad
Khaab Takra ke palaT jaate haiN bund aankhoN se
Jaane kis jurm ki kis ko hai saza shaam ke baad
Chand jub ro ke sitaroN se gale milta hai
Ek ajab rang ki hoti hai fiza shaam ke baad
Hum ne tanhayi se poocha keh milogi kub tuk
Uss ne becheni se fauran he kaha shaam ke baad
MeiN agar khush bhi rahuN phir bhi mere seene meiN
Sogwaari koi roti hai sada shaam ke baad
Tum gaye ho tou siyah rang ke kapRe pehne
Phirti rehti hai mere ghar meiN qaza shaam ke baad
LauT aati hai meri shab ki ibadat khali
Jaane kis arsh pe rehta hai Khuda shaam ke baad
Din ajab muThi meiN jakRe huwe rakhta hai mujhe
Mujh ko iss baat ka ehsas huwa shaam ke baad
Koi bhoola huwa gham hai jo musalsal mujh ko
Dil ke paataal se deta hai sada shaam ke baad
Maar deta hai ujaR jaane ka dohraa ehsas
Kash ho koi kisi se nah juda shaam ke baad
-Farhat Abbas Shah