DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Sawaal?


Jis ko parhta raha har roz kitaabon ki tarah
Uss shakhs ko aaj bhi paataa huN sawaalon ki tarah

Roshan nazaaron ki tarah, kabhi dhundle khwaabon ki tarah
Zinda khyaalon ki tarah, kabhi ujrey makaanon ki tarah

Ubharti kirnon ki tarah, kabhi toot-te taaron ki tarah
Milte kinaaron ki tarah, kabhi doobte saharon ki tarah

Rashk-e-baharon ki tarah, kabhi tanha shaamon ki tarah
Mazbut chataanon ki tarah, kabhi kacchi deewaron ki tarah

Nisaab ka har pehlu, sochta raha jawaabon mein
Ulajh ke reh gaya mein, hisaab ke sawaalon mein

~~~Me
 

Add Comments

 
Add