Qunutiat (Pessimism)
Na kuch wahan hai, na kuch yahan hai
Jo kuch hai,bus waqt ka zayaan hai...
Dozakh si zameen, jalta hua aasmaan
Khud hi rakh le yeh, jis ka bhi jahan hai?
Maut kay baad phir jeenay ki himaqat
aur zeest pe taari maut ka samaan hai
nafrat azaab hai apni jaan per lekin
ulfat bhi to pagal pan ka nishaan hai
dil ko ab jala kay raakh kar diya jaye
la makaan ka shayad yehi makaan hai
main khelon say ukta gaya,ab to bol
Ae beniyaaz khuda, tu hai, to kahan hai?
Written by Sameer Tariq
Jo kuch hai,bus waqt ka zayaan hai...
Dozakh si zameen, jalta hua aasmaan
Khud hi rakh le yeh, jis ka bhi jahan hai?
Maut kay baad phir jeenay ki himaqat
aur zeest pe taari maut ka samaan hai
nafrat azaab hai apni jaan per lekin
ulfat bhi to pagal pan ka nishaan hai
dil ko ab jala kay raakh kar diya jaye
la makaan ka shayad yehi makaan hai
main khelon say ukta gaya,ab to bol
Ae beniyaaz khuda, tu hai, to kahan hai?
Written by Sameer Tariq



Comments on this journal
Pessimist dont live as long as optimists though we still need them to balance the other side that states that the glass is full even when it is just half full