Pehle pehel
Pehlay pehel to khwaabon ka dam bharne lagti hain
Phir aankhain palkon mein chup kar ronay lagti hain
Jaanay tub kyun suraj ki khwahish kartay hain log?
Jab baarish mein sab deewarain girnay lagti hain
Tasweeron ka rog bhi akhir kaisa hota hai
Tanhai mein baat karo to bolnay lagti hain
Sahil se takranay wali vehshi maujain bhi
Zinda rehne ki khwahish mein marnay lagti hain
Tum kya jaano lafzon ke azaar ki shiddat
Yaadain tuk sochnay ki aag mein jalnay lagti hain
- Saleem Kausar