No one but Khumar Saheb
Aisa nahihn keh unn se mohabbat nahin rahi
Jazbaat mein woh pehli si shiddat nahin rahi
Sar mein woh intezar ka sauda nahin raha
Dil par dharkanon ki hakumat nahin rahi
Kamzori-e-nigah ne sanjeeda kar dya
Jalwon se cherh chaarh ki aadat nahin rahi
Hath se inteqaam lya ilteyash ne
Daaman-e-yaar se koi nisbat nahin rahi
Paiham tawaaf-e-kucha-e-jaanan ke din gaye
Pairon mein chalne phirne ki taaqt nahin rahi
Chehrey ki jhurriyon ne bhayanak bana dya
Ayeena dekhne ki bhi himmat nahin rahi
Allah jaane maut kahan mar gayi "Khumar"
Ab mujh ko zindagi ki zarurat nahin rahi
-Khumar Barabankvi

Comments on this journal
JinhaiN raaste meiN khabar huwi keh yeh raasta koi aur hai
Dil jis se mil gaya woh dobraara nahiN mila
Khali hath jayegi...Lolz
Murda dil kya khaak jiya karte haiN?