na sochaa na samajhaa na siikhaa na jaanaa
na sochaa na samajhaa na siikhaa na jaanaa
mujhe aa gayaa Khud_ba_Khud dil lagaanaa
zaraa dekh kar apanaa jalwaa dikhaanaa
simaT kar yahii.n aa na jaaye zamaanaa
zubaa.N par lagii hai.n wafaao.n ki muhare.n
Khamoshii merii kah rahii hai fasaanaa
gulo.n tak lagaayii to aasaa.N hai lekin
hai dushwaar kaa.NTo.n se daaman bachaanaa
karo laakh tum maatam-e-naujavaanii
pa 'mir' ab nahii.n aayegaa woh zamaanaa
-------------------------MEER TAQI MEER--------------------

Comments on this journal
umr bhar doharaauu.Ngaa aisii kahanii de gayaa
Waise bhi zindagi ka safar raigaaN tou hai
MeiN zakhm zakhm huN phir bhi galay lagaoun usse
ham ko ye tohafe tumhe.n dost banaane se mile :S:(
Aage aage dekhiye hota hai kya
BaRa chala hai dil lagane..Lolz. Bohot jald mizaj darust ho jayaiNge
:)