kuch to hava bhi sard thi kuch tha tera Khayaal bhi
kuchh to hava bhi sard thi kuchh tha tera Khayaal bhi
dil ko Khushi ke saath saath hota raha malaal bhi
baat woh aadhi raat ki raat woh pooray chand ki
chand bhi ain chet ka us pe teraa jamaal bhii
sab say nazar bacha kay woh mujh ko aise dekhate
ek dafaa to ruk gai gardish-e-maah-o-saal bhii
dil to chamak sakega kya phir bhi taraash kay dekh lo
shiishaagaraan-e-shahar ke haath kaa ye kamaal bhi
us ko na paa sake thay jab dil kaa ajeeb haal tha
ab joe palat ke dekhiye baat thi kuchh muhaal bhi
meri talab tha ek shaKhs wo jo naheen mila to phir
haath dua se yun gira bhool gaya savaal bhi
us ke he baazoon mein aur us ko he sochate rahe
jism key Khawaishoon pay thay roh ke aur jaal bhi
(Parveen Shakir)

Comments on this journal