Kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah
kiyaa hai pyaar jise hamane zindagii kii tarah
vo aashanaa bhii milaa hamase ajanabii kii tarah
ba.Daa ke pyaas merii us ne haath chho.D diyaa
vo kar rahaa thaa muravvat bhii dillagii kii tarah
kise Khabar thii ba.Degii kuchh aur taariikii
chhupegaa vo kisii badalii me.n chaa.Ndanii kii tarah
kabhii na sochaa thaa hamane "Qateel" us ke liye
karegaa ham pe sitam vo bhii har kisii kii tarah
---Qateel Shifai -------------

Comments on this journal
Also reminds me of Faiz
Hum keh theray ajnabi kitni madaaratoN ke baad
Phir baneNge aashna kitni mulaqatoN ke baad
Ne way, if I may counter the feeling "ajanabii kii tarah" with the following Qata:
ye tu kaise kahoon ke jaan-e-jahan
tujh se mil ker khushee nahee'N hoti
bawajood-e-nawazish-e-pehem
dard-e-dil mein kame nahee'N hoti