Khumar
Nah haaraa hai ishq naH duniya thaki hai
diyaa jal raha hai havaa chal rahi hai
Sukuun hii sukuun hai Khushi hi Khushi hai
Tera Gham salaamat mujhe kya kami hai
ChiraGhoN ke badle makaaN jal rahe haiN
Naya hai zamaanaa nayi raushni hai
Aray o jafaaoN pe chup rehne waaloN
Khaamoshi jafaaoN ki taaid bhi hai
Mere rehbar mujh ko gumraah kar de
Suna hai keh manzil qarib aa gayi hai
'Khumar' ek baalaanosh tu aur taubaa?
Tujhe zaahidoN ki nazar lag gayi hai
-Khumar Barabankvi
diyaa jal raha hai havaa chal rahi hai
Sukuun hii sukuun hai Khushi hi Khushi hai
Tera Gham salaamat mujhe kya kami hai
ChiraGhoN ke badle makaaN jal rahe haiN
Naya hai zamaanaa nayi raushni hai
Aray o jafaaoN pe chup rehne waaloN
Khaamoshi jafaaoN ki taaid bhi hai
Mere rehbar mujh ko gumraah kar de
Suna hai keh manzil qarib aa gayi hai
'Khumar' ek baalaanosh tu aur taubaa?
Tujhe zaahidoN ki nazar lag gayi hai
-Khumar Barabankvi



Comments on this journal
:P
:0
Kehte haiN
"tu ne tauba tou kar li magar ai 'Khumar'
Tujh ko rehmat par shaayad bharosaa nahiN"
Baalaanosh = sharabi
Zahid = mullah
lol
ham ajab log hai.n zehano.n me.n safar karate hai.n