Khoobsurat moDh
Chalo ek baar phir se ajnabi ban jaayaiN hum donoN
Nah maiN tum se koi umeed rakhuN dil navaazii ki
Nah tum meri taraf dekho Ghalat andaaz nazaroN se
Nah mere dil kii dhaDkan laDkhaDaaye merii baatoN meiN
Nah zaahir ho tumharii kashmakash ka raaz nazaroN se
Chalo ek baar phir se ajnambi bun jayaiN hum donoN
Taarruf rog ho jaaye to us ko bhulnaa behtar
Taalluq bojh ban jaaye to us ko toDnaa achaa
Woh afsanaa jise takmil tak laana nah ho mumkin
Ussay ek Khubsurat moDH dekar choDna achaa
Chalo ek baar phir se ajnabi bun jayaiN hum donoN
TumhaiN bhi koi uljhan roktii hai peshqadami se
Mujhe bhi log kehte haiiN keh yeh jalve paraaye haiN
Mere hamraah bhi rusvaaiyaaN haiN mere maazii ki
Tumhaare saath bhii guzrii hui raatoN ke saaye haiN
...Chalo ek baar phir se.....ajnabi bun jayaiN hum donoN
-Sahir Ludhianvi

Comments on this journal
And NOT A Kapoor yaar. (lagta hai khyaloN meiN Anil kapoor he rehta hai)...Mahendra Kapoor.
Mahendra Kapoor couldn't get much recognition for his singing until he sung this one which got him the award for the best singer of the year long time back
:)
Haan, last naseeb je?
aap ko tho pataa hain kabhi uooper tho kabhi nichey , right?
I am just glad you are back with sher n shayari. Yeah aap ki banai hui duniya mein hum tho muzaa lethe hain.
Yahan karwai mein bhi Ghalib ki mithaas aathi hain! Kyun ji?
Aaj chand kaise nikal aya?
Acchi baatoN ka tou pata nahiN lekin kaRwi baataiN zarur likhta huN. Kamal yeh hai keh jin logoN ko pehle yeh baataiN acchi lagti thi ab kaRwi lagti haiN. Shayad iss liye keh sachai meiN kaRwahat hoti hai
Lol
Itne khoobsurat baatey likhtey hain aap bhi.
kaise hain aap? aaj kal kuch zyada nazar aarahain ?
Naseeb se ajnabi ban-na, aap ke liye aasaan nahin.
I am glad you are active again.