DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

kabhii jo mai.n ne masarrat kaa ehatamaam kiyaa


kabhii jo mai.n ne masarrat kaa ehatamaam kiyaa
ba.De Tappak se Gam ne mujhe salaam kiyaa

hazaar tark-e-ta'alluq kaa ehatamaam kiyaa
magar jahaa.N vo mile dil ne apanaa kaam kiyaa

zamaane vaalo.n ke Dar se uThaa na haath magar
nazar se us ne basad maazarat salaam kiyaa

kabhii ha.Nse kabhii aahe.n bharii.n kabhii roye
baqadr-e-martabaa har Gam kaa ehataraam kiyaa

hamaare hisse kii may kaam aaye pyaaso.n ke
zer-e-raah-e-Khair gunaah shikast-e-jaam kiyaa

tuluu-e-mahar se bhii ghar ki tiiragii na ghaTii
ek aur shab kaTii yaa mai.n ne din tamaam kiyaa

duaa ye hai ke na huu.N gum_raah ham_safar mere
'Khumar' mai.n ne to apanaa safar tamaan kiyaa

-------------------Khumar Barabankvi ----------------------
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (February 3, 2007 at 11:08pm)
ullu ab jis tarha likha jata hai wsai hi likhain gai na.....copy paste kai bachai....ALlah tauba ab illiterate bandaun ko koi kaisai samjhaye