DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Insha ji ki yaad meiN


Sab maya hay,sab dhalti phirti chaya hay
is ishq mein hum ney jo khoya jo paya hay
jo hum nay kaha, Faiz nay jo farmaya hay
Sab maya hay

Jis gori par hum ek ghazal har shaam likhaiN
Tum maantay ho, hum kiyouN kar uska naam likhain
Dil uski bhi chaukhat chhom kay waapis aaya hay
Sab maya hay

Woh larki bhi jo chand nagar ki rani thi
woh jiski ulhar aankhoN meiN hairanee thi
Aaj usnay bhi paighaam yehi bhijwaya hay
Sab maya hay

Jo loag abhi tak naam wafa ka letey hein
wo jaan kay dhokay khaatay, dhokay datay hein
HaaN thoak baja kay hum nay hukm lagaya hay
Sab maya hay

Jab dekh liya har shaks yahaN harjaiee hay
is sheher say door ek kutya ham nay banaiee hay
Aur us kutya kay maathay per likhwaya hay
Sab maya hay
 

Add Comments

 
Add