Hawa ko likhna jo Aa gaya hai
First up this one stands tall in my all time favourites....
By Noshi Gilani
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Ab Us Ki Marzi
K Woh Khizaa.n K Bahaar Likh De
Bahaar Ko Intzaar Likh De
Safar Ki Khwahish Ko Wahamo.n K Azaab Se Humkinaar Likh De
Wafa K Rasto.n Pe Chalne Walo.n
Ki Qismato.n Mein Ghubaar Likh De
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Hawa Ki Marzi K Wisal Mausam Mein Hijr Ko Hissa-Daar Likh De
Muhabbaton Mein Guzarne Wali Ruto.n Ko Naa-Paidaar Likh De
Shajar Ko Kum-Sayadaar Likh De
Hawa Ko Likhna Sikhaane Waalo
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
By Noshi Gilani
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Ab Us Ki Marzi
K Woh Khizaa.n K Bahaar Likh De
Bahaar Ko Intzaar Likh De
Safar Ki Khwahish Ko Wahamo.n K Azaab Se Humkinaar Likh De
Wafa K Rasto.n Pe Chalne Walo.n
Ki Qismato.n Mein Ghubaar Likh De
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai
Hawa Ki Marzi K Wisal Mausam Mein Hijr Ko Hissa-Daar Likh De
Muhabbaton Mein Guzarne Wali Ruto.n Ko Naa-Paidaar Likh De
Shajar Ko Kum-Sayadaar Likh De
Hawa Ko Likhna Sikhaane Waalo
Hawa Ko Likhna Jo Aa Gaya Hai



Comments on this journal
ye hawa ye raat ye chandni teri ik ada pe nisar hai
mujhe kion na ho teri aarzo teri justajo main bahar hai
tujhe kia khabar hai o bekhabar teri ik nazar main hai kia asar
jo ghazab main aaye to qeher hai jo ho meherban to qarar hai
teri bat bat hai dil nasheen koi tujh se badh k nahin haseen
hain kali kali main jo mastiyan teri aankh ka ye khumar hai
Nice one. Thanks
Hawa par Naseer Turrabi ke yeh sher yaad aya
Mere mausamoN ki bhi taur thai, mere barg o baar he kuch aur thai
Magar ab rawish hai alag koi magar ab hawa kuch aur hai