DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

Ghazal


HueeN wafaaeN lahaasil ham yaad na aanay paaey
barsay nain baha kaajal per nazar na aanay paaey

Qaid kiya hay logoN ney mujhay is taareeki meiN
Door kharay phir yeh bhi dekhaiN hawaa na aanay paaey

Mosam ki pehli baarish hay aur akeli meiN
Jaanay kaisa kaam para sajna na aanay paaey

Sard hawaaeiN, taareeki aur bolta sannataa
Tara tara dhoondooN rasta kiran na aaney paaey

Tum nay kaha thaa yaheeN mileiN gay janaaN raat gaey
Kachhay gharay merey darya darya tum na aanay paey

Aap ka kehna sab heiN masawi baja sahi lekin
JahaN panah ka hukm yahaaN sooraj bhi na aanay paey
 

Add Comments

 
Add
 

  Comments on this journal

Login to find out (February 29, 2008 at 8:19am)
Soooo How is everyone in this village?