Ghazal
Tum nay aahista say hamara naam lya saaqi
Hum bhee ro dye tumhain yaad kartay kartay
Ye nashaa-e-pyaar bhee khoob hay yaro
Barsay hain phool kaanton pay chaltay chaltay
Kat-ta naheen koi lamha tujh say juda
Phiray hain bechain rooh hum intezaar kartay kartay
Neend naheen aatee teree juda?aee main sanam
Raat katee hay ub sitaron ko taktay taktay
Aur kitna imtehan lo gay apna jaanum
Hu?ay hain khushk aansoo gaal say girtay girtay
(C) Atif M

Comments on this journal
Actually its a lovely ghazal sung by jagjeet
Shayad meiN zindagi ki seher le ke aa gaya
Qaatil ko aaj apne he ghar le ke aa gaya
Last sher is
Khanjar hai mere haath meiN, kaandhoN pe maikadah
Lo meiN ilaaj-e-dard-ejigar le ke aa gaya
Taa umr dhonndta raha, manzil meiN ishq ki
Anjaam yeh keh gard-e-safar le ke aa gaya
ishq kyaa chiiz hai ye puuchhiye paravaane se
zindagii jis ko mayassar hu_ii jal jaane se
Kabhi laut aayain to poochna nahiN
Dekhna unhaiN ghaur se
JinahaiN raaste meiN kahabar huwi
Keh yeh raasta koi aur hai
aage aage dekhiye hotaa hai kyaa
Agar ho ishq, to kufr bhee hay musalmaani
No ho to mard-e-muslaman bhee kafir-o-zandeeq
but then he was different :)
jalvaaa-e-aaftaab ban zarre me.n roshanii na dekh
"Woh to nah mil sakay, hamaiN ruswaaiyaaN mileeN
Lekin hamare ishq ko raaniyaaN mileeN"
"Love is a temporary insanity, curable by marriage".
Lolz.