Do Gunahgaar
Hum unhaiN woh hamaiN bhulaa baiThe
Do gunah gaar zehar khaa baiThe
Haal-e-Gham keh keh ke Gham baDhaa baiThe
Teer maare thai teer khaa baiThe
AaNdhiyoN jaao ab aaraam karo
Hum Khud apna diyaa bujhaa baiThe
Jee tou halka huaa magar yaaro
Ro ke hum lutf-e-Gham baDhaa baiThe
BesahaaroN ka hausala hii kya?
Ghar meiN ghabaraaye dar pe aa baiThe
Jab se bichhDe woh muskuraaye na hum
Sub ne chheDa tou lub hilaa baiThe
Ham rahe mubtalaa-e-dair-o-haram
Woh dabe paaoN dil meiN aa baiThe
UTh ke ek bevafaa ne de dii jaan
Reh gaye saare baavafaa baiThe
Hashr ka din hai abhi duur 'Khumar'
Aap kyuN zaahidoN meiN jaa baiThe
-Khumar Barabankvi
Do gunah gaar zehar khaa baiThe
Haal-e-Gham keh keh ke Gham baDhaa baiThe
Teer maare thai teer khaa baiThe
AaNdhiyoN jaao ab aaraam karo
Hum Khud apna diyaa bujhaa baiThe
Jee tou halka huaa magar yaaro
Ro ke hum lutf-e-Gham baDhaa baiThe
BesahaaroN ka hausala hii kya?
Ghar meiN ghabaraaye dar pe aa baiThe
Jab se bichhDe woh muskuraaye na hum
Sub ne chheDa tou lub hilaa baiThe
Ham rahe mubtalaa-e-dair-o-haram
Woh dabe paaoN dil meiN aa baiThe
UTh ke ek bevafaa ne de dii jaan
Reh gaye saare baavafaa baiThe
Hashr ka din hai abhi duur 'Khumar'
Aap kyuN zaahidoN meiN jaa baiThe
-Khumar Barabankvi



Comments on this journal
BaataiN haiN baatoN ka kya
Lolz. Wake up call
magar jiine kii suurat to rahii hai
mujhe tum nazar se giraa to rahe ho
mujhe tum kabhii bhii bhulaa naa sakoge
na jaane mujhe kyuu.N yaqii.n ho chalaa hai
merii yaad ko tum miTaa naa sakoge