Dil Se
Sooraj ki pehli kiran
Kisi ke khad o khaal ko choo kar
Pelha nazara ban gayee
Aur makeen ho gayee
Uss ke dil ki
...phir yun huwa
Ufaq se hawa ke dosh par khushbu liye
Kisi ki har saans ussay choo kar guzarti
Khamosh batain uss ne suni
Kisi ko ayee hichkiyan woh leta raha
Kisi ki har soch utarne lagi
Uss ke dil mein
...phir yun huwa
Phir...qatil nigahain asal roop ban gayeen
Aasaab ki jung honay lagi
Nashtar pe nashtar chalne lagay
Nazuk ragain tootne lagin
Jigar chalni hone laga
Saray bandhan toot gaye
Hasraton ke janaze nikal gaye
Dil se...
Dil...
Kabhi....Kaaba
Kabhi....Ghar-e-Hira
To kabhi....Karbala hota hai
~~~Me
Kisi ke khad o khaal ko choo kar
Pelha nazara ban gayee
Aur makeen ho gayee
Uss ke dil ki
...phir yun huwa
Ufaq se hawa ke dosh par khushbu liye
Kisi ki har saans ussay choo kar guzarti
Khamosh batain uss ne suni
Kisi ko ayee hichkiyan woh leta raha
Kisi ki har soch utarne lagi
Uss ke dil mein
...phir yun huwa
Phir...qatil nigahain asal roop ban gayeen
Aasaab ki jung honay lagi
Nashtar pe nashtar chalne lagay
Nazuk ragain tootne lagin
Jigar chalni hone laga
Saray bandhan toot gaye
Hasraton ke janaze nikal gaye
Dil se...
Dil...
Kabhi....Kaaba
Kabhi....Ghar-e-Hira
To kabhi....Karbala hota hai
~~~Me



Comments on this journal
Aashia(n) jull gaya, gul-sitaa(n) loot gaya
Hum qa-fuss say nikull ker kid?her jaa-aae(n) gay
Itnay maa?noose say-ee-yaad say ho gaey
Ub ray?haaee millay gee to(h) merr jaa-aae(n) gay
:)