Dil dharakne ka sabab
Dil dharakne ka sabab yaad aaya
Woh teri yaad thi ab yaad aaya
Aaj mushkil tha sambhalna ai dost
Tu museebat mein ajab yaad aaya
Din guzara tha bara mushkil se
Phir tera waade e shab yaad aya
Haal e dil hum bhi sunate lekin
Jub woh rukhsat huwa tub yaad aaya
Saya - gul mein baith kar Nasir
Hum bohot roye woh jub yaad aaya
-Nasir Kazmi
And...enjoy this lovely video of the same ghazal sung by Madam Noor Jehan (Melody Queen) www.youtube.com
Woh teri yaad thi ab yaad aaya
Aaj mushkil tha sambhalna ai dost
Tu museebat mein ajab yaad aaya
Din guzara tha bara mushkil se
Phir tera waade e shab yaad aya
Haal e dil hum bhi sunate lekin
Jub woh rukhsat huwa tub yaad aaya
Saya - gul mein baith kar Nasir
Hum bohot roye woh jub yaad aaya
-Nasir Kazmi
And...enjoy this lovely video of the same ghazal sung by Madam Noor Jehan (Melody Queen) www.youtube.com



Comments on this journal
apanii dhun me.n rahataa huu.N
mai.n bhii tere jaisaa huu.N
o pichhalii rut ke saathii
ab ke baras mai.n tanhaa huu.N
Gaye dinoN ka suragh le kar kidhar se aaya kidhar gaya woh
Ajeeb maanus ajnabi tha, mujhe to hairaan kar gaya woh
dayaar-e-dil kii raat me.n chiraaG saa jalaa gayaa
milaa nahii.n to kyaa huaa vo shaql to dikhaa gayaa
judaa_io.n ke zaKhm dard-e-zindagii ne bhar diye
tujhe bhi niind aa ga_ii mujhe bhii sabr aa gayaa
But I will try to find some good shairs to share :)
Inhi pattharoN pe chal kar agar aa sako to aawo
Mere ghar ke raaste mein koi kehkashan nahiN hai
Rehna ho raho warna....lol
Daba ke qabr mein sub chal diye dua nah salam
Zara si der mein kya ho gaya zamane ko
Kaho to aaj saja lein ghareeb khane ko :P
Phir saawan rut ki pawan chali tum yaad aaye
Phir pattoN ki paazeb baji tum yaad aaye
(Sung by Nayyara Noor)
Hmm Filza
On you being emotional, issi ghazal ka ek sher neeche likha huwa hai
Nah mila kar udaas logoN se
Husn tera bikhar nah jaye kahin
You sure want to stay in this village?
Lol
I'm hopeless :P hehehe
another nice one.....
niiyat-e-shauq bhar na jaaye kahii.n
tuu bhii dil se utar na jaaye kahii.n
aaj dekhaa hai tujhe der ke baad
aaj kaa din guzar na jaaye kahii.n
na milaa kar udaas logo.n se
husn teraa bikhar na jaaye kahii.n
aarazuu hai ke tuu yahaa.N aaye
aur phir umr bhar na jaaye kahii.n
jii jalaataa huu.N aur ye sochataa huu.N
raayegaa.N ye hunar na jaaye kahii.n
aao kuchh der ro hii le.n 'Nasir'
phir ye dariyaa utar na jaaye kahii.n