Bechen
Bechen bohot phirna, ghabaraaye huwe rehna
Ek aag si jazboN ki bhaRhkaye huwe rehna
Chalkaaye huwe chalna Khushbuu-e-begaani ki
Ek baagh saath apnay mehakaye huwe rehna
Iss husn ka shevaa hai, jab ishq nazar aaye
Parde meiN chale janaa, sharmaaye hwue rehna
Ek shaam si kar rakhna kaajal ke karishme se
Ek chand sa aaNkhoN meiN chamakaaye hwue rehna
Aadat he bana li hai tum ne to "Munir" apni
Jis sheher meiN bhi rehna uktaaye huwe rehna
-Munir Niazi

Comments on this journal
I am reviving this old JE for you to make your morning even better. Enjoy.
phir bhii ahal-e-dil ko ahavaal-e-bashar kahanaa to hai
Tumhi kaho keh yeh andaz-e-guftugu kya hai
:P
Ja nahiN sukta kabhi sheeshay meiN baal aaya huwa
tabhi mashhur ho gaye,
Teri hansi me hanse to ansu dur ho gaye,
Bas ek tere jaise DOST ki badolat e mere DOST
Aaj hum kanch ke tukde se KOHINOOR ho gaye....
:)
aashiyaane kii baat karate ho
ham ko apanii Khabar nahii.n yaaro.n
tum zamaane kii baat karate ho
Ek brahamin ne kaha hai keh yeh saal acha hai
go apanii tabiyat me.n baGaavat bhii bahut thii
Koi chaarasaaz hota, koi ghamgusaar hota
zubaa.N milii hai magar ham_zubaa.N nahii.n milataa
Jahan talash ho iss ki wahan nahiN milta
kahii.n zamii.n to kahii.n aasmaa.N nahii.n milataa
Mazboot kashtiyoN ko kinara nahiN mila
dil ke liye tho.Dii sii inaayat bhii bahut thii
MeiN taweel e safar meiN huN agar, meri wapasi ki dua kare
aa.Nsuu chhupaaye rakhanaa jab tak ke mai.n na aauu.N