Anjaam
Shaam dhaltay he har diya bujha diya maine
Teergi ko yun apnay ghar mein basa liya maine
Jism ka pinjra,tanhaee ka maskan Thehra
Veeraniyon say yeh khanDar saja liya maine
Ruwein ruwein say lahu chalakta hai, dekhlo
Zakhm ki zubaan ko namak chakha diya maine
Nayee manzil kay har nishaan ko mitaya pehlay
Phir tujh tak wapsi kay rastay ko bhula diya maine?.
Aankh ki namee khushk sehra mein mili,khaak hogayi
Sulagti aarzu say uthta wo dhuwan,chupa liya maine
Apnay Shauq kisi boseeda qabar mein dafna kar
Ishq aur junoon ko laash talay daba diya maine?.
-Sameer Tariq (ShauqEtanhaee)

Comments on this journal
jab tak aa.Nsuu paas rahe.nge tab tak giit sunaaye.nge