Amaanat
MaiN nazar se pii raha huN ye samaa badal nah jaye
Nah jhukaao tum nigaaheN kahiiN raat Dhal na jaaye
Abhi raat kuch hai baqi, nah uThaa naqaab aaqi
Tera rind girte girte, kahiN phir saNbhal nah jaye
Meri zindagi ke malik, mere dil pe haath raKhna
Tere aane kii khushi meiN mera dam nikal nah jaye
Mere ashk bhii haiN is meiN yeh sharaab ubal na jaaye
Mera jaam chhuune vaale tera haath jal nah jaye
MaiN banaa to luuN nasheman kisi shaaKh-e-gulsitaaN pe
KahiN saath aashiyaaN ke yeh chaman bhi jal nah jaye
mujhe phuuNkne se pehle, meraa dil nikaal lena
Yeh kisi ki hai amaanat, mere sath jal nah jaye
- Anwar Mirzapuri

Comments on this journal