Ab yeah sochon tu...
Ab yeah sochon tu bhanwar zehan mein par jatay hain
Kaisay chehray hain jo miltay he bichar jatay hain
kiyon teray dard ko dain tohmat-e-viraani-e-dil ?
zalzalon mein tu bharay shehar ujar jatay hain
mousam-e-zard mein ik dil ko bachaon kaisay?
aisee rut mein tu ghanay darakht bhi jhar jatay hain
ab koyi kya mairay qadmoon kay nishaan dhoonday ga
taiz andhi mein tu khaimay bhi ukhar jatay hain
sooch ke aaina dhundlao, tu phir waqt kay saath
chand chehroon kay khud-o-khaal bigar jatay hain
shidat-e-gham mein bhi zinda hoon tu hairat kaisi ?
kuch diye thund hawaoun say bhi lar jatay hain
woh bhi kaya loug hain Faraz jo wafa ke khatir
khud tarasheeda usoloun pay bhi ar jatay hain....

Comments on this journal
ek sher yaad aa gaya mulahiza farmaiye
alfaaz the ke jugnu aavaaz ke safar mein
ban jaaye janglon mein jis tarah raasta sa