ab harf-e-tamanna ko samaa'at na miley gi
Ub harf-e-tamanna ko samaa?at na miley gi
Becho gey agar khwaab tau qeemat na miley gi
Tash-heer key bazaar mein mein ey taaza khareedar
Zebaaeshein mil jaaen gi qaamat na miley gi
Lamhon key taa?qub mein guzar jaaen gi sadiaan
Yun waqt tau mil jaaey ga mohlat na miley gi
Socha he na tha yun bhi usey yaad rakhen gey
Jab oos ko bhulaaney ki bhi fursat na miley gi
Taa-umr wohi kaar-e-ziyaan ishq raha yaad
Halaankey yeh maloom tha ujrat na miley gi
Taabeer nazar aaney lagi khwaab ki soorat
Ab khwaab he dekho gey bashaarat na miley gi
Aaena-sift waqt tera husn hein hum log
Kal aaeney tarsein gey tau soorat na miley gi