DHTML Menu / JavaScript Menu Powered by Milonic
Already a member? Sign In

Village Journals help
Resonate your identity with Naseeb journals. Express your opinions, share your thoughts, post your writings and connect with like minded people through the power of expression.

AAJA K AB......


Aaja ka ab rooh tujhe bulati hai
Aaja k ab dil bohat tarapta hai
Ajaa k himmat B ab rahi nahi hai
Aaja k ab mausam b khafa sa hai
Aaja k ab dil bohat machalta hai
Tujeh daikhe huy zaman sa ho gya hai
Aaja k ab tanhai bohat hi dasti hai
Aaja k ab jal jal k bujh rahi hun main
Aaja k teri yaad mujhe bohat rulati hai
Aaja k pyar tumse hai bohat zada
Jise ishq ka naam rab ne B de diya hai
Aaja k ab bedam ho gaie hun main
Aaja k rut ko ab badalna hoga
Gham k badal ko b ab chatna hoga
Aaja k rooh baitab hoti ja rahi hai
Aaja k tuj se bandi hai sanson ki dori
Aaja k ab tere bin jeena mushkal hai
Ghamon ne b ab kamar tord di hai
Ajaa k kahin yeh na ho k main na rahun
Aaja k ab chand b udas rehta hai
Ajaa k roshni mujhko chord gaeie hai
Kya tu janta hai k tuhi meri janat hai?
Rab se ro ro kar dua har pal main karun
K jaldi se mera chand nikel aaey
Jo chupa baitha badlon k andar hai
Ajab halat is dil ki ab ho rahi hai
Aaja k ab waqt shaid bewafai kar jai
Yeh na ho k tu main mar jaun jab tu aaey..
Kya batoul ki kimat mein nya swaira b hai
Jo raat ki yeh tareeki se bahir use lae aaey.....
 

Add Comments

 
Add